ba.ad muddat ke vo milā hai mujhe
Dar judā.ī kā phir lagā hai mujhe
aa gayā huuñ maiñ dastaras meñ tirī
apne anjām kā pata hai mujhe
kyā karūñ ye kabhī nahīñ kahtā
jo karūñ us pe Toktā hai mujhe
tujh se mil ke maiñ jab se aayā huuñ
har koī muḌ ke dekhtā hai mujhe
ab talak kuchh varaq hī palTe haiñ
tujh ko jī bhar ke bāñchnā hai mujhe
Thokareñ jab kabhī maiñ khātā huuñ
kaun hai vo jo thāmtā hai mujhe
sochtā huuñ ye soch kar maiñ use
vo bhī aise hī sochtā hai mujhe
maiñ tujhe kis tarah bayān karūñ
ye karishma to sīkhnā hai mujhe
niiñd meñ chal rahā thā maiñ 'nīraj'
tū ne aa kar jagā diyā hai mujhe