nahīñ hai are ye baġhāvat nahīñ hai
hameñ sar jhukāne kī aadat nahīñ hai
chhupā.e hue haiñ vahī log ḳhanjar
jo kahte kisī se adāvat nahīñ hai
karūñ kyā paroñ kā agar in se mujh ko
falak nāpne kī ijāzat nahīñ hai
uThā kar girānā girā kar miTānā
hamāre yahāñ kī rivāyat nahīñ hai
milā kar nigāheñ jhukāte jo gardan
vahī kah rahe haiñ mohabbat nahīñ hai
bahut kar lī pahle zamāne se ham ne
hameñ ab kisī se shikāyat nahīñ hai
kaho kyā karoge ghaTāoñ kā 'nīraj'
agar bhiig jaane kī chāhat nahīñ hai