sahar aur shaam se kuchh yuuñ guzartā jā rahā huuñ maiñ
ki jiitā jā rahā huuñ aur martā jā rahā huuñ maiñ
tamannā-e-muhāl-e-dil ko juzv-e-zindagī kar ke
fasāna ziist kā pechīda kartā jā rahā huuñ maiñ
gul-e-rañgīñ ye kahtā hai ki khilnā husn khonā hai
magar ġhuncha samajhtā hai nikhartā jā rahā huuñ maiñ
mirā dil bhī ajab ik sāġhar-e-zauq-e-tamannā hai
ki hai ḳhālī kā ḳhālī aur bhartā jā rahā huuñ maiñ
kahāñ tak irtibāt-e-jān-o-jānāñ kā ta.alluq hai
sañvarte jā rahe haiñ vo sañvartā jā rahā huuñ maiñ
javānī jā rahī hai aur maiñ mahv-e-tamāshā huuñ
uḌī jaatī hai manzil aur Thahartā jā rahā huuñ maiñ
bahut ūñchā uḌā lekin ab is auj-e-taḳhayyul se
kisī duniyā-e-rañgīñ meñ utartā jā rahā huuñ maiñ
'nushūr' āḳhir kahāñ tak fikr-e-duniyā dil dukhā.egī
ġham-e-hastī ko zauq-e-sher kartā jā rahā huuñ maiñ