ashk jo aañkh meñ ubalte haiñ
diip dil ke unhī se jalte haiñ
mausamoñ kā gila nahiñ karte
gir ke jo aadmī sambhalte haiñ
ġham-e-jān-e-bahār ke sadqe
ġham jahāñ ke isī se Talte haiñ
un ko āḳhir junūñ se kyā hāsil
pairahan roz jo badalte haiñ
ham ne garmī-e-sham.a kyā karnī
garmī-e-shauq meñ pighalte haiñ
vā.iz-e-nā-samajh piyeñ sharbat
ham kahāñ ḳhuld se bahalte haiñ
kaif o mastī 'shujā.a' falak tak hai
dard yuuñ qalb meñ machalte haiñ