gil bhiik meñ lete haiñ jis phuul se ra.anā.ī
ham ko bhī mayassar hai us naam se tanhā.ī
donoñ ke muqaddar kī gardish hī nirālī hai
ye qalb thakā-hārā vo lāla-e-sahrā.ī
kyuuñ ḳhalq kā shauq aayā koī kibr se jā pūchhe
kyā chiiz thī tanhā.ī? kyā ḳhuub thī yaktā.ī?
yak-tarfa mohabbat kā har rañg nirālā hai
begāna kare jag se ye rahmat-e-rusvā.ī
taḌpe haiñ malā.ek bhī vo qahr thā ā.ankhoñ meñ
dekhā tirā shaidā.ī to maut bhī ghabrā.ī
dam sādhe vo shab aayā ik diip jalā laayā
turbat pe asīroñ kī bajtī rahī shahnā.ī