Mani Jayasi

har gham ko yun to zabt kiye ja raha hun main

Mani Jayasi

Deoria, Uttar pradesh, India

1985-1963
har ġham ko yuuñ to zabt kiye jā rahā huuñ maiñ
is ġham ko kyā karūñ ki jiye jā rahā huuñ maiñ
lo saath de chukī shab-e-hijrāñ kā zindagī
ab shām-e-ġham ko saath liye jā rahā huuñ maiñ
haañ aañkh tar nahīñ magar aañsū kahāñ se aa.eñ
hamrāz ḳhūn-e-dil to piye jā rahā huuñ maiñ
kaisā sukūñ ki dil bhī to hai dafn mere saath
ye sāz-e-iztirāb liye jā rahā huuñ maiñ
bhar bhar ke de rahā hai falak talḳh jām-e-ġham
kyā zauq hai balā kā piye jā rahā huuñ maiñ
haañ pā-e-sabr thak ga.e lekin idhar to dekh
ab sajda-e-hā-e-shukr kiye jā rahā huuñ maiñ
'mānī' ye sozan-e-nafas-o-rishta-e-vafā
lab-hā-e-shikva-sang siye jā rahā huuñ maiñ
Top Urdushayar.com