ḳhair se ziist kā ai kaash ho anjām abhī
vaqt achchhā hai zabāñ par hai tirā naam abhī
haañ labālab to hai labrez nahīñ jaam abhī
zabt meñ hai asar-e-gardish-e-ayyām abhī
vo nahīñ haiñ to nigāhoñ meñ hai duniyā andher
kaise raushan the munavvar the dar-o-bām abhī
yahī samjheñge mohabbat ko hayāt-e-jāved
jo samajhte haiñ use maut kā paiġhām abhī
be-niyāzī-e-tamanna ki hai ik jannat-e-ishq
dil ne paayā nahīñ fitrat se ye in.aam abhī
tā-ba-me.arāj-e-yaqīñ dekhiye kab tak pahuñchūñ
dil kī gahrā.iyoñ meñ haiñ bahut auhām abhī
āzim-e-bārgah-e-dost thā 'mānī' lekin
kyā pahuñchtā ki hai sar bar-dar-e-asnām abhī