Mani Jayasi

hijr ka gham bhi nahin wasl ki parwa bhi nahin

Mani Jayasi

Deoria, Uttar pradesh, India

1985-1963
hijr kā ġham bhī nahīñ vasl kī parvā bhī nahīñ
dil bhī pahlū meñ nahīñ dil kī tamannā bhī nahīñ
nahīñ darkār nahīñ mujh ko ġham-e-chāra-e-ġham
haañ maiñ dīvāna huuñ be-shak magar itnā bhī nahīñ
tum na sharmāo na ghabrāo maiñ kahtā bhī huuñ kuchh
zikr-e-va.ada bhī nahīñ ḳhvāhish-e-īfā bhī nahīñ
joshish-e-girya ik e.ajāz hai varna dil-e-zār
āḳhir ik buuñd hai bādal nahīñ dariyā bhī nahīñ
be-ḳhudī hashr meñ kyā yaad dilā.ūñgā use
ḳhud mujhe yaad ab us shoḳh kā va.ada bhī nahīñ
vaqt pursish hai abhī fursat-e-ehsāñ hai abhī
aa.iye maiñ abhī zinda bhī huuñ achchhā bhī nahīñ
ab kahāñ lazzat-e-ehsās-e-taraqqī 'mānī'
yaas meñ jazar-o-mad-e-dard-e-tamanna bhī nahīñ
Top Urdushayar.com