Mani Jayasi

har taraf shor hai mani chaman-arai hai

Mani Jayasi

Deoria, Uttar pradesh, India

1985-1963
har taraf shor hai 'mānī' chaman-ārā.ī hai
tū bhī phir dars-e-fuġhāñ de ki bahār aa.ī hai
be-talab sab ne yahāñ dād-e-sitam paa.ī hai
hashr hai naala na karne meñ bhī rusvā.ī hai
vāqa.ī kuchh nahīñ yā kuchh nazar aatā hī nahīñ
dil-e-mahjūr ye zulmat hai ki tanhā.ī hai
mudda.ā mere junūñ kā to hai tahsīn-e-bahār
aur duniyā ye samajhtī hai ki saudā.ī hai
āstāñ jazb-e-jabīñ hai magar ai fitrat-e-ishq
maiñ huuñ aur hausla-e-nāsiya-farsā.ī hai
aa ki imdād-e-tasavvur se bhī mahrūm huuñ ab
aur dil sajda-e-āḳhir kā tamannā.ī hai
sab rahe sirf badaltā rahā mahfil kā nizām
tū hai aur silsila-e-anjuman-ārā.ī hai
saare aalam kī raqābat kā junūñ hai mujh ko
aur buniyād-e-junūñ aap kī yaktā.ī hai
tū bhī hai un ke liye manzar-e-ibrat 'mānī'
jin kā yuuñ dīda-e-hasrat se tamāshā.ī hai
Top Urdushayar.com