ye kaun maane ki nā-āshnā-e-rāz hai tū
magar yahī ki ḳhudāvand-e-be-niyāz hai to
us āstāñ pe jo sar hai to sarfarāz hai tū
niyāz-mandī-e-ālam se be-niyāz hai tū
samajh meñ aa.e na aa.e adā-e-chāragarī
mujhe to hai ye bharosā ki chārasāz hai tū
fanā nahīñ hai ajal umr-e-jāvedānī hai
vajūd hai vo haqīqat ki jis kā raaz hai tū
qubūl kar mirī daad ai mirī siyah-baḳhtī
harīf-e-zulmat-e-tanhā.ī-e-darāz hai to
navāzisheñ tirī mub.ham sahī magar ai dost
ye e'tibār hai kyā kam ki dil-navāz hai tū
baḌe marāhil-e-dushvār se guzarnā hai
niyāz jaada hai aur manzil-e-niyāz hai tū
ye māntā hai zamāna ki maiñ huuñ nāzish-e-sabr
ye raaz koī na samjhā ki merā naaz hai tū
hai sar ḳhushī meñ tujhe pās-e-ġham-kashāñ 'mānī'
ajiib riñd-e-ḳhudā-tars-o-pāk-bāz hai tū