Mani Jayasi

lab pe aish-e-ahd-e-mazi ka hai afsana hanuz

Mani Jayasi

Deoria, Uttar pradesh, India

1985-1963
lab pe aish-e-ahd-e-māzī kā hai afsānā hanūz
jā chukī hai fasl-e-gul aur maiñ huuñ dīvānā hanūz
chain kaisā qabr meñ sar par hai roz-e-bāz-purs
dāstān-e-dard-e-hastī ko hai dohrānā hanūz
ab bhī sharh-e-soz-e-dil kartī hai parvāne kī ḳhaak
sun rahī hai sham.a ḳhāmoshī se afsānā hanūz
pheñk dī saarī sharāb ai vaa.e be-sabrī-e-shauq
lab tak aane bhī nahīñ paayā thā paimānā hanūz
kyā miTe ummīd-e-tāsīr-e-duā kā iztirāb
dil hai shān-e-rahmat-e-bārī kā dīvānā hanūz
zindagī āḳhir huī lekin havas kī had nahīñ
qabr banñe ko hai aur bantā hai kāshāna hanūz
nā-umīdī bhī mudāvā be-qarārī kā nahīñ
mashġhala dil kā hai tum ko yaad farmānā hanūz
umr-bhar khāyā fareb-e-dostī lekin ye dil
rasm-o-rāh-e-ahl-e-ālam se hai begānā hanūz
ziist kī har saañs hotī hai ham-āġhosh-e-fanā
har-nafas hai maut aur baaqī hai mar jaanā hunūz
kahte kahte arsa-e-mahshar tak aayā huuñ magar
nā-mukammal hai ġham-e-hastī kā afsāna hanūz
paiham āñkhoñ kā jhapaknā kyā juz imā-e-sujūd
in ishāroñ se magar 'mānī' hai begānā hanūz
Top Urdushayar.com