payām-e-yās na de ai nigāh-e-yār mujhe
rakh iztirāb kī ḳhātir umīd-vār mujhe
na.e karishme dikhātā hai e'tibār mujhe
ḳhizāñ hai ālam-e-nairañgī-e-bahār mujhe
vufūr-e-shauq se āñkhoñ meñ ruuh khich aa.ī
payām-e-maut thā va.ade kā e'tibār mujhe
nazar uThā ki mirī zindagī kahe labbaik
maiñ kho na jā.ūñ kahīñ ik zarā pukār mujhe
jazā hai ġham kī to mil jaa.e aaj ai 'mānī'
ki sau ġhamoñ kā hai ġham kal kā intizār mujhe