Mani Jayasi

har-qadam par shauq-e-manzil ki farawani to hai

Mani Jayasi

Deoria, Uttar pradesh, India

1985-1963
har-qadam par shauq-e-manzil kī farāvānī to hai
rāh-e-dushvār-e-mohabbat meñ ye āsānī to hai
be-shak is jiine se mar jaane meñ āsānī to hai
lekin ai dil marzī-e-qātil kī qurbānī to hai
sach hai shevan se mire un ko pareshānī to hai
lekin āḳhir dard-e-uzr-e-nāla-e-sāmānī to hai
kāmyābī ho na ho baiThā na rah tadbīr kar
mudda.ā bas meñ nahīñ hai sa.ī-e-imkānī to hai
aaj ye taskīn kaafī hai ki kal roz-e-jazā
rūedād-e-zīst kah kar dād-e-ġham paanī to hai
haañ yahāñ ye hai ki maqsūd-o-tamannā saath haiñ
varna ye jannat hamārī jānī-pahchānī to hai
ek zarf-e-dil hai us meñ do kī gunjā.ish kahāñ
duur ai jam.īyat-e-ḳhātir pareshānī to hai
haañ bure ko bhī na iizā de ki us kī zaat meñ
ḳhū-e-insānī nahīñ hai rūh-e-haivānī to hai
rahnumā.ī aql se chāhī shurū-e-ishq meñ
afv kar ai be-ḳhudī ye merī nādānī to hai
dekhiye bāzār-e-mahshar meñ ye kin dāmoñ bike
jins-e-ġham kī ḳhair se duniyā meñ arzānī to hai
aur niklegī koī tadbīr pairāhan-darī
hoñ jo shal haiñ haath shauq-e-chāk-dāmānī to hai
aa.ine meñ eqtidār-e-husn kī sūrat kahāñ
aa.ina rakh de idhar aa merī hairānī to hai
un ko kyā TuuTe kisī kā dil ki rusvā ho koī
ḳhush raheñ yūsuf ki sābit pāk-dāmānī to hai
kis ġharaz se phir gavārā kījiye taklīf-e-zabt
raaz rakh kar bhī mohabbat kī sazā paanī to hai
ahl-e-dil se ye jahāñ ḳhālī bhī rahtā hai kahīñ
'urfī'-o-'ġhālib' nahīñ 'fānī' nahīñ 'mānī' to hai
Top Urdushayar.com