maut haañ bar-haq hai lekin zindagī faanī kahāñ
qissa-e-hastī ba-anjām-e-tan-āsānī kahāñ
aap ke sajde meñ rūh-e-sajda ai 'mānī' kahāñ
kaash ye ehsās hotā ḳham hai peshānī kahāñ
mushkiloñ se ruuh ko mānūs honā chāhiye
zindagī dushvāriyoñ hī meñ hai āsānī kahāñ
ai zuleḳhā bartar-az-insāniyat kā zikr chhoḌ
dard se begāna rahnā kār-e-insānī kahāñ
tishna-e-maqsūd dhokhā hai jhalak ummīd kī
sirf ik manzar sarāb-āsā hai ye paanī kahāñ
kaaT dī bistar pe añgāroñ ke saarī zindagī
ai tamannā is se baḌh kar koī qurbānī kahāñ
manzil-e-hairat meñ laayā imtihān-e-tāb-e-dīd
dekhiye le jā.egī ab dil kī hairānī kahāñ
kasrat-o-vahdat meñ nisbat hai shuā-o-shams kī
ek hī jalva hai jalvoñ kī farāvānī kahāñ
miT ke mere ghar kī raunaq ālam-e-ibrat banī
dasht bhī vīrāñ hai lekin naf-e-vīrānī kahāñ
aish-e-āzādī kabhī miltā to hotā ranj-e-qaid
mustaqil jam.iyat-e-dil hai pareshānī kahāñ
ye fazā-e-fikr ai 'mānī' hai me.arāj-e-suḳhan
ab magar taḳh.īl meñ vo barq-sāmānī kahāñ