Mani Jayasi

rah-e-ulfat mein yun to kaba-o-but-KHana aata hai

Mani Jayasi

Deoria, Uttar pradesh, India

1985-1963
rah-e-ulfat meñ yuuñ to ka.aba-o-but-ḳhāna aatā hai
jabīñ jhuktī hai lekin jab dar-e-jānāna aatā hai
safar tai ho chukā shāyad dar-e-jānāna aatā hai
ki dil sū-e-jabīñ sajde ko be-tābāna aatā hai
tirī ummīd-e-vasl-e-hūr hai ik zohd par mabnī
magar vaa.iz mujhe har sheva-e-rindāna aatā hai
hañsī aa.e tujhe yā niiñd lekin aah mujh ko to
bas ai be-gāna-e-dard ek hī afsāna aatā hai
dil ujḌā jab to phir baaqī kahāñ duniyā meñ ābādī
nigāheñ jis taraf uTThīñ nazar vīrāna aatā hai
hamesha hasb-e-istedād hai faizān-e-qudrat bhī
bahār aa.ī chaman meñ dasht meñ dīvāna aatā hai
Thikānā phir ġham-e-duniyā ne paayā ba.ad muddat ke
ki apne hosh meñ phir 'mānī'-e-dīvāna aatā hai
Top Urdushayar.com