Mani Jayasi

zist ke aasar ruKHsat hain mohabbat dil mein hai

Mani Jayasi

Deoria, Uttar pradesh, India

1985-1963
ziist ke āsār ruḳhsat haiñ mohabbat dil meñ hai
kārvāñ jaatā hai mīr-e-kārvāñ manzil meñ hai
aao dam siine meñ baaqī hai na hasrat dil meñ hai
ab to jo kuchh hai vo chashm-e-muntazar ke til meñ hai
haañ azal se jo muqaddar hai vahī hogā magar
jazba-e-tā.īd-e-qudrat sa.i-e-lā-hāsil meñ hai
jāñ-sitāñ hai husn kyā husn-e-talab kī ehtiyāj
vo to zīnat ke liye ḳhanjar kaf-e-qātil meñ hai
jis kī manzil hai baqā vo jāda-paimā-e-fanā
dil idhar nāqis meñ shāmil hai udhar kāmil meñ hai
tāb-e-ḳhalvat kaun lā saktā hai dil to miT chukā
kis qadar qātil tirā jalva bharī mahfil meñ hai
tū jise chāhe haqīqat kah jise chāhe majāz
ek sūrat jo nazar meñ hai vahī to dil meñ hai
iltijā nāz-āfrīnī ke liye hai varna sun
aarzū ḳhud us kī shāhid hai ki jalva dil meñ hai
ye matā-e-zīst bhī hotī hai 'mānī' nazr-e-maut
ik nazar āñkhoñ meñ hai aur ek hasrat dil meñ hai
Top Urdushayar.com