Mani Jayasi

KHu-e-gham dil ko hai yani his-e-gham kuchh bhi nahin

Mani Jayasi

Deoria, Uttar pradesh, India

1985-1963
ḳhū-e-ġham dil ko hai ya.anī his-e-ġham kuchh bhī nahīñ
kyā hai ab kār-gah-e-nāz-o-sitam kuchh bhī nahīñ
roz-e-fariyād se maġhlūb nahīñ tāqat-e-shukr
jabr-e-taqdīr-e-girāñ bārī-e-ġham kuchh bhī nahīñ
zindagī muzda-e-ġham maut naved-e-ġham-e-nau
koī rūdād ba-har-shān-e-karam kuchh bhī nahīñ
ik taraf hashr meñ tū ek taraf bahr-e-karam
dāman-e-tar to ab ai dīda-e-nam kuchh bhī nahīñ
darḳhur-e-be-ḳhudī-e-dil na alam hai na surūr
zahr-e-ġham kuchh bhī nahīñ sāġhar-e-jam kuchh bhī nahīñ
farq-e-zarf-e-dil-o-paimāna-e-taqdīr na pūchh
us ne bharpūr diyā aur use ġham kuchh bhī nahīñ
kyā ḳhabar kyā hai ye hañgāma-e-hastī 'mānī'
ham ko itnā to hai mālūm ki ham kuchh bhī nahīñ
Top Urdushayar.com