shā.erī jhuuT sahī ishq fasāna hī sahī
zinda rahne ke liye koī bahāna hī sahī
ḳhaak kī lauh pe likkhā to gayā naam mirā
asl maqsūd tirā mujh ko miTānā hī sahī
ḳhvāb-e-uryāñ to isī tarah tar-o-tāza hai
haañ mirī niiñd kā malbūs purānā hī sahī
ek uḌte hue sayyāre ke pīchhe pīchhe
koī imkān koī shauq ravāna hī sahī
kyā kareñ aañkh agar us se sivā chāhtī hai
ye jahān-e-guzarāñ ā.ina-ḳhāna hī sahī
dil kā farmān sar-e-dast uThā rakhte haiñ
ḳhair kuchh roz ko takmīl-e-zamāna hī sahī