kab is se qabl nazar meñ gul-e-malāl khilā
kisī kī yaad meñ lekin ye ab ke saal khilā
ajiib āb-o-havā thī ajiib thī miTTī
so dil ke goshe meñ ik phuul be-misāl khilā
maiñ chhū ke dekh rahī thī ki sabza-e-ruḳh par
gulāb-e-surḳh kī sūrat tirā jamāl khilā
maiñ dam-ba-ḳhud hī rahī aur shīsha-e-jāñ par
misāl-e-reza-e-ḳhurshīd ik visāl khilā
safar kī shaam sitāra nasīb kā jaagā
phir āsmān-e-mohabbat pe ik hilāl khilā
isī tarah se tirī yaad gul khilātī rahī
ki zaḳhm bharne lagā jab to indimāl khilā
ye vāqi.a hai ki is baar to bahār ke ba.ad
khilā hai gulshan-e-ummīd aur kamāl khilā