Nushur Wahidi

jaan-bazon ke lab par bhi ab aish ka nam aaya

Nushur Wahidi

Ballia, Uttar pradesh, India

1912-1983
jāñ-bāzoñ ke lab par bhī ab aish kā naam aayā
jis haath meñ tesha thā us haath meñ jaam aayā
ik taaza taġhayyur hai tahzīb kī duniyā meñ
yā husn-e-haqīqī ko andāz-e-ḳhirām aayā
rāhat kā tasavvur hī baaqī na rahā shāyad
hoñToñ pe takalluf se ārām kā naam aayā
kuchh soch ke ik rāh-e-pur-ḳhār se guzrā thā
kāñTe bhī na raas aa.e dāman bhī na kaam aayā
saaqī ye harīfoñ ko pahchān ke denā kyā
jab bazm se ham nikle tab daur meñ jaam aayā
is tīra-nasībī meñ kirnoñ kā sahārā kyā
sūraj kī taraf dekhā vo bhī lab-e-bām aayā
ye rāz-o-niyāz-e-ġham kuchh vo bhī samajhte haiñ
jab choT paḌī dil par palkoñ ko salām aayā
ġham aur ḳhushī donoñ har roz ke mehmāñ haiñ
ye sub.h-ba-sub.h aa.ī vo shām-ba-shām aayā
pheñke hue shīshoñ se dil kitne banā.e haiñ
jab jaam koī TuuTā dīvānoñ ke kaam aayā
kānoñ meñ kuchh aatī hai āvāz phaḌakne kī
phir koī nayā taa.ir shāyad tah-e-dām aayā
ash.ār-e-'nushūr' aksar un kī bhī zabāñ par haiñ
chup rah na sakā koī jab vaqt-e-kalām aayā
Top Urdushayar.com