ham to yuuñ uljhe ki bhūle aap hī apnā ḳhayāl
haañ koī hotā bhī hogā bhūlne vaalā ḳhayāl
ek patthar kī tarah se Dūbtā jaatā hai dil
ho rahā hai aur gahrā aur bhī gahrā ḳhayāl
āb-e-hairāñ par kisī kā aks jaise jam gayā
aañkh meñ bas ek lamhe ke liye Thahrā ḳhayāl
phir to kab apne rahe kab kār-e-duniyā ke rahe
jab se ham par chhā gayā is jān-e-duniyā kā ḳhayāl
naqsh-e-hairat ho ga.ī phir apnī hairānī pe chashm
zindagī ā.īna thī aur ā.īna-ḳhāna ḳhayāl
shaam gahrī ho ke phir utrī phir is dil ko lagā
ik ḳhayāl aisā ḳhayāl aisā ḳhayāl aisā ḳhayāl