Sameena Raja

tu bhi ruKHsat ho raha hai dhup bhi Dhalne ko hai

Sameena Raja

Bahawalpur, Punjab, Pakistan

1958-2012
tū bhī ruḳhsat ho rahā hai dhuup bhī Dhalne ko hai
mere andar ik charāġh-e-shām-e-ġham jalne ko hai
kab talak is hijr meñ āḳhir ko ronā chāhiye
aañkh bhī ḳhuuñ ho ga.ī dāman bhī ab galne ko hai
gulsitāñ meñ paḌ ga.ī hai rasm-e-tajsīm-e-bahār
apne chehre par har ik gul ḳhūn-e-dil malne ko hai
ajnabī sī sarzamīñ nā-āshnā se log haiñ
ek sūraj thā shanāsā vo bhī ab Dhalne ko hai
har na.ī manzil kī jānib sūrat-e-abr-e-ravāñ
mere hāthoñ se nikal kar merā dil chalne ko hai
shahr par tūfān se pahle kā sannāTā hai aaj
hādisa hone ko hai yā sāneha Talne ko hai
ik havā-e-tund aur hamrāh kuchh chiñgāriyāñ
ḳhaak sī uḌne ko hai aur aag sī jalne ko hai
sāmne hai niiñd kī lambī masāfat aaj shab
kārvān-e-anjum-o-mahtāb bhī chalne ko hai
Top Urdushayar.com