ḳhushk ho ga.iiñ nahreñ peḌ jal chuke haiñ kyā
kuchh chaman the raste meñ dasht ho ga.e haiñ kyā
ek ek se pūchhā ham ne ek vahshat meñ
zindagī ke baare meñ aap jānte haiñ kyā
iltifāt mushkil hai baat to kiyā kiije
ham nahīñ bure itne itne hī bure haiñ kyā
apnī zindagānī ko aur rā.egānī ko
ham uThā.e phirte haiñ log dekhte haiñ kyā
yūñhī āte-jāte ho be-sabab satāte ho
sañg to nahīñ haiñ ham raah meñ paḌe haiñ kyā
ḳhvāb dekhne vaale mo'atabar hue kaise
ye purāne sikke yaañ phir se chal rahe haiñ kyā
sabr kar liyā jaa.e ab bhī jaane vāloñ par
pahle jaane vaale bhī vāpas aa sake haiñ kyā
ham ne ik tamannā kā rāsta chunā to hai
ek rāste meñ bhī aur rāste haiñ kyā
ishtiyāq kitnā thā aur firāq kitnā thā
jaane pūchhte haiñ kyuuñ jaane pūchhte haiñ kyā
jab rahā na kuchh chāra ham ne haar maanī thī
bas yahī kahānī thī aap ro paḌe haiñ kyā