chand gile bhulā diye chand se darguzar kiyā
qissa-e-ġham tavīl thā jaan ke muḳhtasar kiyā
jhuuT nahīñ thā ishq bhī ziist bhī thī tujhe aziiz
maiñ ne bhī apnī umr ko apne liye basar kiyā
jaise bhī tere ḳhvāb hoñ jo bhī tire sarāb hoñ
maiñ ne to ret oḌh lī maiñ ne to kam safar kiyā
terī nigāh-e-nāz kā lutf-o-gurez ek saath
shauq thā kuchh agar rahā rañj thā kuchh agar kiyā
TuuT ke phir se juḌ gayā ḳhvāb kā zard silsila
maiñ ne tire firāq ko niiñd meñ hī basar kiyā
raah bahut tavīl thī raah meñ ik fasīl thī
is ko bhī muḳhtasar kiyā us meñ bhī ek dar kiyā
ham to ajiib log the ham ko hazār rog the
ḳhuub kiyā jo aap ne ġhair ko ham-safar kiyā