diyā saaqī ne avval roz vo paimāna mastī meñ
ki maiñ nā-āshnā pī kar huā dīvāna mastī meñ
sharāb-e-ātishīñ vo hai ki do ik ghūñT piite hī
jo saaqī ho to aatā hai nazar paimāna mastī meñ
nazar aatā hai mujh ko boriyā bhī taḳht-e-tā.ūsī
gadā rakhtā hai goyā shaukat-e-shāhāna mastī meñ
koī kahtā hai masjid hai koī kahtā hai bāhar jā
ilāhī kyā maiñ bhūlā huuñ rah-e-mai-ḳhāna mastī meñ
nasha thā mujh ko aur yāroñ ne chāhā chhīn leñ botal
magar kaam aa ga.ī kuchh jur.at-e-rindāna mastī meñ
ḳhabar kyā thī vaa.iz hai yahī samjhā ki saaqī hai
uThā aur uTh ke jā lipTā maiñ betābāna mastī meñ
mirī puujā thī kaif-añgez nazroñ kī parastārī
mirā sajda thā pesh-abrū-e-jānāna mastī meñ
qadam rakhtā kahīñ huuñ aur paḌtā hai kahīñ jā kar
'nushūr' is vaqt huuñ kuchh hosh se begāna mastī meñ