shāḳhoñ par ib.hām ke paikar laTak rahe haiñ
lafzoñ ke jañgal meñ ma.anī bhaTak rahe haiñ
pākīza aḳhlāq musallat hai jazbe par
ḳhvāhish kī ā.ankhoñ meñ kāñTe khaTak rahe haiñ
malhāreñ gaate haiñ meñDak taal kināre
āsamān par bhūre bādal maTak rahe haiñ
matle par yādoñ kī pau sī phuuT rahī hai
man par kaale saañp apne phan paTak rahe haiñ
ḳhushbū kī chorī kā daaġh lagā hai un par
sab gul-būTe apne dāman jhaTak rahe haiñ
aisī jiddat se ham ko kyā mil jā.egā
paḌhne vaale har misra.a par aTak rahe haiñ