Muzaffar Hanfi

shamiyane meri ghibat mein hawa tanti hai

Muzaffar Hanfi

Khandwa, Madhya Pradesh, India

1936
shāmiyāne mirī ġhībat meñ havā tāntī hai
gaañv meñ mere na hone se baḌī shāñtī hai
vo bagūlā hai ki uḌne pe sadā āmāda
maiñ jo miTTī huuñ to miTTī bhī kahāñ māntī hai
dekhnā kaise humakne lage saare patthar
merī vahshat ko tumhārī galī pahchāntī hai
phuul bantī hai kalī hañste-hañsāte lekin
us ke dil pe jo guzartī hai vahī jāntī hai
merī koshish hai ki duniyā ko banā duuñ firdaus
aur duniyā mujhe nākāroñ meñ gardāntī hai
ham ko ik haal meñ qismat nahīñ rahne detī
kabhī miTTī meñ milātī hai kabhī chhāntī hai
Top Urdushayar.com