Nushur Wahidi

gham-e-KHamosh jo ba-ashk-chakan rakhta hun

Nushur Wahidi

Ballia, Uttar pradesh, India

1912-1983
ġham-e-ḳhāmosh jo bā-ashk-chakāñ rakhtā huuñ
ek Thahre hue dariyā ko ravāñ rakhtā huuñ
ik badaltī huī duniyā kā samāñ rakhtā huuñ
un kī jānib se mohabbat kā gumāñ rakhtā huuñ
shauq-e-tāza ho ki ho hasrat-e-bālīda koī
kuchh na kuchh silsila-e-āh-o-fuġhāñ rakhtā huuñ
kuchh jhijaktī huī nazreñ haiñ ḳharīdār jamīl
maiñ bhī palkoñ pe sitāroñ kī dukāñ rakhtā huuñ
muntazir haiñ haram-o-dair ke goshe ya.anī
maiñ ne jo sham.a jalā.ī hai kahāñ rakhtā huuñ
maslahat hai ki tirā tiir na ḳhālī jaa.e
varna muTThī meñ irādoñ kī kamāñ rakhtā huuñ
ġhair ke haath meñ āzādī-e-raushan kā charāġh
maiñ faqat murda charāġhoñ kā dhuāñ rakhtā huuñ
daaġh huuñ lāla-e-aqavām-e-jahāñ ke dil kā
maiñ bahāroñ ke kaleje pe ḳhizāñ rakhtā huuñ
terī baḳhshī huī āzād jabīñ kī saugand
ek sajda bhī ġhulāmī meñ garāñ rakhtā huuñ
koī manzil ho mujhe ābla-pā.ī se hai kaam
kuchh zamīñ kahtī hai maiñ paañv jahāñ rakhtā huuñ
inqalābāt-o-azā.em ke sañvarne ke liye
ek ā.īna pas-e-lafz-o-bayāñ rakhtā huuñ
merī duniyā meñ na ka.aba hai na but-ḳhāna 'nushūr'
dil ke goshe meñ magar dair-e-muġhāñ rakhtā huuñ
Top Urdushayar.com