Muzaffar Hanfi

aaankhon mein virani si hai palken bhigi baal khule

Muzaffar Hanfi

Khandwa, Madhya Pradesh, India

1936
ā.ankhoñ meñ vīrānī sī hai palkeñ bhīgī baal khule
tū be-vaqt pashemāñ kyuuñ hai ham par bhī kuchh haal khule
tark-e-vafā par sochā thā hāfiz-sāhib se baat karūñ
ab Dartā huuñ jaane kaisī ulTī sīdhī faal khule
lākhoñ kā haq maar chuke ho chain kahāñ se pāoge
paidal aage sarkāo to farzīñ kī bhī chaal khule
bātoñ se to nāseh ko ham sīdhā-sāda samjhe the
vo to ik din mai-ḳhāne meñ hazrat ke ahvāl khule
fariyādoñ ne aur baḌhā dī muddat bad-unvānī kī
baazū phailāne se shāyad bandhan TūTeñ jaal khule
hastī kī is bhūl-bhulayyāñ meñ jab tham kar sochā to
ik pechīda lamhe meñ sad-bāb-e-māh-o-sāl khule
aap 'muzaffar'-hanafī se mil kar shāyad māyūs na hoñ
dil ke saaf basīrat gahrī zehan rasā a.amāl khule
Top Urdushayar.com