kyā kartā maiñ ham-asroñ ne tanhā mujh par chhoḌ diyā
sab ne bosa de kar sach kā bhārī patthar chhoḌ diyā
Dhīlā paḌtā thā suulī kā phandā us kī gardan par
mere qātil ko munsif ne fidya le kar chhoḌ diyā
dariyā ke ruḳh bahne vaalī machhlī murda machhlī hai
us kashtī kī ḳhair nahīñ hai jis ne lañgar chhoḌ diyā
sho.aloñ kī is hamdardī par dil meñ laavā paktā hai
jab saarī bastī phūñkī thī kyuuñ merā ghar chhoḌ diyā
sūraj ne bhī soch samajh kar jaal bichhā.e kirnoñ ke
shabnam shabnam Daaka Daalā aur samundar chhoḌ diyā
saarā ghar sotā hai do ghanTe meñ aa.egā aḳhbār
aaj 'muzaffar' pāñch baje hī kaise bistar chhoḌ diyā