Muzaffar Hanfi

aalam-e-rozgar ka munh zard ho gaya

Muzaffar Hanfi

Khandwa, Madhya Pradesh, India

1936
ālām-e-rozgār kā muñh zard ho gayā
har zaḳhm kā ilaaj tirā dard ho gayā
chehre kī hai talāsh har ik fard ko jahāñ
us anjuman se jo bhī uThā fard ho gayā
khilte haiñ dil meñ phuul tirī yaad ke tufail
ātish-kada to der huī sard ho gayā
gumrāhiyoñ ne dhuul uḌā dī mazāq meñ
har naqsh-e-pā-e-rāh-numā gard ho gayā
is ahd-e-nau ko lahja-e-mardāna chāhiye
jis ne bhī mere sher paḌhe mard ho gayā
Top Urdushayar.com