basāratoñ pe bhañvar inkishāf kartā hai
ki bulbule kā samundar tavāf kartā hai
ajiib bhūl-bhulayyāñ hai justujū ḳhud kī
har ek naqsh-e-qadam inhirāf kartā hai
mazā to jab hai ki ham us ko nā ḳhudā kar leñ
havā kā ruḳh jo hamāre ḳhilāf kartā hai
jise gunāh kī taufīq hī na ho tā-umr
use ḳhudā na zamāna muaaf kartā hai
lahū kī maar se bachiye ki josh meñ aa.e
to qatra qatra badan meñ shigāf kartā hai
balā se rañg-e-taġhazzul mirī ġhazal meñ nahīñ
nukīlā lahja ghuTan ko to saaf kartā hai