vajūd-e-ġhaib kā irfān TuuT jaatā hai
sarīr-e-ḳhāma se vijdān TuuT jaatā hai
jo ho sake to karo aam lā-ubālī-pan
ḳhudī ke bojh se insān TuuT jaatā hai
sunā.iye vo latīfa har ek jaam ke saath
ki ek buuñd se īmān TuuT jaatā hai
sajāne lagtā huuñ jab kuchh hasīn yādoñ ke phuul
mire ḳhayāl kā gul-dān TuuT jaatā hai
to lāzmī bhī nahīñ tolnā samundar kā
agar habāb kā mīzān TuuT jaatā hai
huā jahāñ bhī tire vahshiyoñ kā dāman chaak
vahīñ bahār kā ehsān TuuT jaatā hai
ye daur vo hai 'muzaffar' gunāh zaid kare
bakar kī zaat pe bohtān TuuT jaatā hai