ḳhushk āñkhoñ se nikal kar āsmāñ par phail jā
ai ġhubār-e-ārzū tā-hadd-e-manzar phail jā
motiyoñ kī ābrueñ lūTne vaale bahut
siip ke qaidī samundar-dar-samundar phail jā
yuuñ palak par jagmagānā do ghaḌī kā aish hai
raushnī ban kar mire andar hī andar phail jā
aa mire siine se lag jā tū agar sailāb hai
aur ḳhushbū hai to jā bastī meñ ghar ghar phail jā
naqsh-e-pā pāmāl rāhoñ par lagā degā tujhe
rāste meñ gard kī mānind uḌ kar phail jā