Muzaffar Hanfi

ab du-ba-du tujhse baat howe

Muzaffar Hanfi

Khandwa, Madhya Pradesh, India

1936
ab dū-ba-dū tujh se baat hove
jo kuchh bhī hamāre saath hove
bāzīcha banī huī hai duniyā
tū chaal chale to maat hove
chehre pe girā ke apnī zulfeñ
tū hukm kare to raat hove
sharmā.e tū kaifiyat se labrez
paimāna kā.enāt hove
tujh nūr-sifāt ke muqābil
hove to hamārī zaat hove
hai qaid-e-hayāt pech-dar-pech
mar jaa.eñ agar najāt hove
vo sher kaho miyāñ-'muzaffar'
ā.īna shash-jahāt hove
Top Urdushayar.com