rañg yahāñ bahut magar rañg se kaam bhī nahīñ
terī ye bazm-e-āb-o-gil dil kā maqām bhī nahīñ
bas ki kahīñ na jaag uTheñ soī huī qayāmateñ
ye to ḳhirām-e-hashr hai hashr-ḳhirām bhī nahīñ
merī namāz-e-kaif meñ sajda kahāñ rukūa kyā
sāqī-e-mast kī qasam hosh-e-imām bhī nahīñ
husn tamām guftugū ishq tamām ḳhāmushī
raf-e-shukūk bhī nahīñ qat-e-kalām bhī nahīñ
mai se agar gurez hai sajda to ḳhum ko kījiye
baada harām ho to ho sajda harām bhī nahīñ