kahīñ to pā-e-safar ko rāh-e-hayāt kam thī
qadam baḌhāyā to sair ko kā.enāt kam thī
sivā.e mere kisī ko jalne kā hosh kab thā
charāġh kī lau buland thī aur raat kam thī
ḳhayāl sahrā-e-zāt meñ us maqām par thā
jahāñ ki gunjā.ish-e-farār-o-najāt kam thī
vo fard-e-baḳhshish ki jis kī takmīl kī hai maiñ ne
nigāh Daalī to is meñ apnī hī zaat kam thī
bahut hañse ḳhuub ro.e jī khol kar jiye ham
agarche mīād-e-hasti-e-be-sabāt kam thī
tire karam se baḌā thā kuchh e'tiqād merā
isī liye mujh ko fikr-e-saum-o-salāt kam thī
bahāo paanī kī buuñd par ḳhuun kā samundar
nahīñ to ik qatra-e-lahū se furāt kam thī
ġhazal 'muzaffar' kī ḳhuub thī is meñ shak nahīñ hai
magar taġhazzul ke naam par ek baat kam thī