Muzaffar Hanfi

pir-e-mughan ko qibla-e-hajat kah gaya

Muzaffar Hanfi

Khandwa, Madhya Pradesh, India

1936
pīr-e-muġhāñ ko qibla-e-hājāt kah gayā
maiñ bhī hañsī hañsī meñ baḌī baat kah gayā
tārīk rāste kā musāfir nahīñ hai vo
jo tere gesuoñ ko siyah raat kah gayā
qāsid ne us kī baat banā.ī na ho kahīñ
kis be-takallufī se javābāt kah gayā
phūloñ ne hañs ke Taal diyā vaqt par hameñ
kāñTā magar bahār ke hālāt kah gayā
maiñ, chūñki maslahat ke taqāze ajiib haiñ
us kī jafā ko gardish-e-āfāt kah gayā
ye lījiye janāb kī baazī palaT ga.ī
jo hārtā rahā hai vahī maat kah gayā
nā guftanī likhī hai 'muzaffar' ne umr bhar
jo kuchh zabān kah na sakī haat kah gayā
Top Urdushayar.com