ye iztirāb dekhnā ye intishār dekhnā
sahar na ho kahīñ zarā pas-e-ġhubār dekhnā
ye ḳhastagī kā faiz hai ki jis ne aañkh muuñd kar
sikhā diyā mujhe badan ke ār-pār dekhnā
shikast khā chuke haiñ ham magar aziiz fāteho
hamāre qad se kam na ho farāz-e-dār dekhnā
guzar ga.ī jo mauj us kī yaad hī fuzūl hai
magar ho us kā muḌ ke mujh ko baar baar dekhnā
mirā ḳhulūs dekhnā ki mahv-e-intizār huuñ
use bhalā chukā huuñ kaif-e-intizār dekhnā