ka.ī sūkhe hue patte hare ma.alūm hote haiñ
hameñ dekho kahīñ se dil-jale ma.alūm hote haiñ
mahīnoñ se jo ḳhālī thā vo kamra uTh gayā shāyad
ye alhaḌ-pan ye māsūmī na.e ma.alūm hote haiñ
simaT aatī thī kis apnā.iyat ke saath vo kuTiyā
imārat meñ to ham dubke hue ma.alūm hote haiñ
ġhamoñ par muskurā lete haiñ lekin muskurā kar ham
ḳhud apnī hī nazar meñ chor se ma.alūm hote haiñ
qadam letī hai baḌh kar os meñ bhīgī huī dhartī
ye pas-māñda musāfir shahr ke ma.alūm hote haiñ
baḌhāvā de rahe haiñ muzmahil chehre kī zardī ko
tire juuḌe meñ ye ġhunche bure ma.alūm hote haiñ
batā.eñ kyā ki bechainī baḌhāte haiñ vahī aa kar
bahut bechain ham jin ke liye ma.alūm hote haiñ
purānā ho chukā chashme kā number baḌh gayā shāyad
sitāre ham ko miTTī ke diye ma.alūm hote haiñ
sunā ai dosto tum ne ki shā.er haiñ 'muzaffar' bhī
ba-zāhir aadmī kitne bhale ma.alūm hote haiñ