yuuñ toḌ na muddat kī shanāsā.ī idhar aa
aa jā mirī rūThī huī tanhā.ī idhar aa
mujh ko bhī ye lamhoñ kā safar chaaT rahā hai
mil baañT ke ro leñ ai mire bhaa.ī idhar aa
ai sail-e-ravān-e-abadī zindagī naamī
maiñ kaun sā pāband huuñ harjā.ī idhar aa
is nik.hat-o-ra.anā.ī se khaa.e haiñ ka.ī zaḳhm
ai tū ki nahīñ nik.hat-o-ra.anā.ī idhar aa
a.asāb khiñche jaate haiñ ab shaam o sahar meñ
hone hī ko hai ma.arka-ārā.ī idhar aa
suntā huuñ ki tujh ko bhī zamāne se gila hai
mujh ko bhī ye duniyā nahīñ raas aa.ī idhar aa
maiñ rāh-numāoñ meñ nahīñ maan mirī baat
maiñ bhī huuñ isī dasht kā saudā.ī idhar aa