Muzaffar Hanfi

jo honTon pe mohr-e-KHamoshi laga di

Muzaffar Hanfi

Khandwa, Madhya Pradesh, India

1936
jo hoñToñ pe mohr-e-ḳhamoshī lagā dī
to mil kar nigāhoñ ne taalī bajā dī
kisī ke liye maiñ pareshāñ nahīñ huuñ
raqīboñ ne jaane kahāñ kī uḌā dī
junūñ apnī taqdīr se kheltā hai
miTā.ī banā dī banā.ī miTā dī
abhī nuur o zulmat meñ chaltī rahegī
na vo is ke aadī na maiñ us kā aadī
ḳhabar kārvāñ kī na ho rahzanoñ ko
yahī soch kar maiñ ne mish.al bujhā dī
guloñ ne jab ilzām rakkhā ḳhizāñ par
to vo ḳhaar ko dekh kar muskurā dī
tavaqqo.a nahīñ thī 'muzaffar' se un ko
kharī baat sun kar qayāmat uThā dī
Top Urdushayar.com