jāñ-ba-lab vaise hī the aur hameñ maar chalā
dhuup ke saath kahāñ sāya-e-dīvār chalā
bāz-gashtoñ ke ta.āqub se pareshāñ ho kar
maiñ bhī āvāz ke jañgal meñ dhuāñ-dhār chalā
maiñ ne ham zāviya qaabū nahīñ paayā ab tak
ai tamannā mire siine meñ na talvār chalā
ye safar vo hai jahāñ saañs ke par jalte haiñ
tujh ko zid hai to phir ai hasti-e-bekār chal aa
chāk-dāmānī se pahle hī bikhar jā.eñge
yuuñ shagūfoñ meñ agar tazkira-e-ḳhār chalā
gir paḌī ret kī dīvār to māyūsī meñ
gard-e-vahshat na uḌā ḳhuun kī bauchhār chalā