Muzaffar Hanfi

bab-e-tilism-e-hosh-ruba mil gaya mujhe

Muzaffar Hanfi

Khandwa, Madhya Pradesh, India

1936
bāb-e-tilism-e-hosh-rubā mil gayā mujhe
maiñ ḳhud ko DhūñDtā thā ḳhudā mil gayā mujhe
jaanā ki reg-zār ke siine pe zaḳhm haiñ
saaya jo rāste meñ paḌā mil gayā mujhe
vīrāniyoñ se us ne mirā haal sun liyā
tanhā.iyoñ se us kā pata mil gayā mujhe
shohrat ke āsamān par uḌne lagā thā maiñ
raste meñ āgahī kā ḳhalā mil gayā mujhe
duniyā to mujh ko chhoḌ ke aage nikal ga.ī
ḳhvāboñ kā ik jazīra-numā mil gayā mujhe
gumrāhiyoñ pe faḳhr kī manzil ke paas hī
ik sañg-e-mīl hañstā huā mil gayā mujhe
jannat mire ḳhayāl kī mismār ho ga.ī
bad-qismatī se zehn-e-rasā mil gayā mujhe
Top Urdushayar.com