Nushur Wahidi

nazar nazar ko saqi-e-hayat kahte aae hain

Nushur Wahidi

Ballia, Uttar pradesh, India

1912-1983
nazar nazar ko sāqī-e-hayāt kahte aa.e haiñ
un añkhḌiyoñ ko mai-kade kī raat kahte aa.e haiñ
ba-chāshnī-e-ahd-e-nau jo baat kahte aa.e haiñ
ġham-e-jahāñ ko dil kī kā.enāt kahte aa.e haiñ
fareb-e-shauq ko taḳhaiyyulāt kahte aa.e haiñ
bikhar ga.e to gesuoñ ko raat kahte aa.e haiñ
usī ko zindagī kā saaz de ke mutma.in huuñ maiñ
vo husn jis ko husn-e-be-sabāt kahte aa.e haiñ
ye muḳhlisān-e-ishq bhī ajab adā-parast haiñ
vo muskurā diye to iltifāt kahte aa.e haiñ
hayāt tā-mamāt ek silsila hai ishq kā
kahāñ haiñ vo jo marg ko najāt kahte aa.e haiñ
na zāhidoñ ke va.az-e-tark-e-ishq par hañse koī
ye be-ḳhabar bhī hausle kī baat kahte aa.e haiñ
ye zarf-e-bāda kyā hai bāda-āshnā se pūchhiye
ham is ko shīsha-e-tajalliyāt kahte aa.e haiñ
ġhazal hai naam husn ke muāmalāt-e-ḳhām kā
ḳhatā huī ki dilbaroñ kī baat kahte aa.e haiñ
sukūn o ḳhvāb zindagī kī raah meñ kahāñ 'nushūr'
hayāt ko musāfirat kī raat kahte aa.e haiñ
Top Urdushayar.com