Muzaffar Hanfi

shahr bhar mein kahin raunaq thi na tabani thi

Muzaffar Hanfi

Khandwa, Madhya Pradesh, India

1936
shahr bhar meñ kahīñ raunaq thī na tābānī thī
har taraf chhā.ī huī gard-e-pareshānī thī
jab sarāboñ pe qanā.at kā salīqa aayā
ret ko haath lagāyā to vahīñ paanī thī
sāda-lauhī mirī rakhtī thī tavaqqo.a tujh se
mujh se ummīd lagā.e tirī nādānī thī
kyā batā.ūñ ki use dekh ke hairāñ kyuuñ huuñ
ek ā.īna thā ā.īne meñ hairānī thī
ab nadāmat ke samundar meñ lagā.eñ ġhote
ārzūoñ ne kahāñ baat mirī maanī thī
muḳhtasar us ko kiyā hai mutabassim ho kar
varna rūdād mire dard kī tūlānī thī
ai 'muzaffar' mujhe tā-umr rahī fikr-e-suḳhan
jab ki fursat thī mayassar na tan-āsānī thī
Top Urdushayar.com