Muzaffar Hanfi

tumne ji bhar ke satane ki qasam khai hai

Muzaffar Hanfi

Khandwa, Madhya Pradesh, India

1936
tum ne jī bhar ke satāne kī qasam khaa.ī hai
maiñ ne aañsū na bahāne kī qasam khaa.ī hai
bāġhbānoñ ne ye ehsās huā hai mujh ko
āshiyānoñ ko jalāne kī qasam khaa.ī hai
inqilābāt ke sho.ale bhī kahīñ bujhte haiñ
aap ne aag bujhāne kī qasam khaa.ī hai
Dar yahī hai ki kahīñ ḳhud se na dhokā khā jaa.e
jis ne dhoke meñ na aane kī qasam khaa.ī hai
tujh pe martā huuñ tire sar kī qasam khātā huuñ
ġhair ne aaj Thikāne kī qasam khaa.ī hai
saaf zāhir hai ki ab raaz nahīñ rah saktā
rāz-dāroñ ne chhupāne kī qasam khaa.ī hai
'shād' sāhib kī tarah maiñ ne 'muzaffar'-hanafī
tanz par saan chaḌhāne kī qasam khaa.ī hai
Top Urdushayar.com