ik masraf-e-auqāt-e-shabīna nikal aayā
zulmat meñ tirī yaad kā ziina nikal aayā
har-chand ki mahfil ne mirī qadar bahut kī
uktā ke añgūThī se nagīna nikal aayā
phir koh-kanī Dhaal rahī hai na.e teshe
phir faḳhr se chaTTān kā siina nikal aayā
sach-much vo taġhāful se kināra hī na kar le
maiñ sochne baiThā to pasīna nikal aayā
ġhota jo lagāyā hai to māyūs huā huuñ
har mauj ke dāman meñ safīna nikal aayā
ghabrāyā huā dekh ke patjhaḌ ke aqab se
mere liye sāvan kā mahīna nikal aayā
jab vaqt ne chhānī haiñ 'muzaffar' kī bayāzeñ
har sher meñ nudrat kā dafīna nikal aayā