dariyā-e-shab ke paar utāre mujhe koī
tanhā.ī Das rahī hai pukāre mujhe koī
go jāntā huuñ sab hī nishāne pe haiñ yahāñ
pāgal huuñ chāhtā huuñ na maare mujhe koī
muTThī sadaf ne bheñch rakhī hai ki chhū ke dekh
motī pukārtā hai ubhāre mujhe koī
kāñToñ meñ rakh ke phuul havā meñ uḌā ke ḳhaak
kartā hai sau tarah se ishāre mujhe koī
ab tak to ḳhud-kushī kā irāda nahīñ kiyā
miltā hai kyuuñ nadī ke kināre mujhe koī
bikhrā huā huuñ vaqt ke shāne pe gard sā
ik zulf-e-pur-shikan huuñ sañvāre mujhe koī