Muzaffar Hanfi

pahle hum uski mahfil mein jaane se katrae to

Muzaffar Hanfi

Khandwa, Madhya Pradesh, India

1936
pahle ham us kī mahfil meñ jaane se katrā.e to
lekin kyā kiije jab dil kī shāmat hī aa jaa.e to
is jhagḌe meñ ham-sāyoñ kī daḳhl-andāzī vājib hai
buniyādī mauzūa yahī thā jaag paḌe ham-sā.e to
ġhazloñ meñ rañgīnī laane kī bābat phir sochūñgā
pahle ye batlā do us ne chhup kar tiir chalā.e to
ḳhud milne kī ḳhvāhish karnā albatta manzūr nahīñ
vaise ham kam-zarf nahīñ haiñ vo zahmat farmā.e to
apnā haq hāsil karne kī ḳhātir maiñ bhī chaltā huuñ
merā terā saath na hogā haath agar phailā.e to
us kī ḳhaslat bhāñp chukā huuñ bāteñ hañs kar Tālegā
aur yaqīnan baat banegī bātoñ par jhallā.e to
log 'muzaffar'-hanafī ko bhī pābandī se paḌhte haiñ
chiknī-chapḌī ġhazleñ paḌhte paḌhte jī uktā.e to
Top Urdushayar.com